Quora.com kya hai, aapko isse kya faayde ho sakte hain, poori jaankari - Logicaltalk, blogging, seo, earn money, business

Latest

Saturday, November 17, 2018

Quora.com kya hai, aapko isse kya faayde ho sakte hain, poori jaankari

Quora.com kya hai, aapko isse kya faayde ho sakte hain, poori jaankari

aapne kya kabhi yah dhyaan diya hai ki aap jab bhi internet par kuch searchkarte hain to search results me sabse pahle quora.com hi rehta hai. Aap jab bhi internet par kuch bhi search karte hain to adhiktar bar google ke search results me sabse upar quor.com hi rehta hai ya fir at least google results ke first page par to rehta hi hai. Aap google par chaahe kuch bhi daal kar agar jaankari paana chaahte hain to same question quora par pahle se hi available rehta hai aur yahan tak us topic se related jitne bhi topic ho sakte hain wah sab kuch quora par maujood rehta hai.
Aaj hum aapko is article me yahi batane wale hain ki aakhir itni badi website kaise kaam karti hai aur yah hamesa google ke first page par kaise mil jaati hai. To poora article padhiyega aapko is topic se sambandhit kaafi achi jankariyaan milne wali hain.
what is quora, quora, logicaltalk.ini

Quora.com kya hai?

Quora ek question-answer type ki website hai. question answer type ka matlab hota hai ki is website par agar general way me bola jaye to is par kul do tarah ke options hote hain ek hota hai ki koi bhi is par apna kisi bhi chetra se sambandhit question pooch sakta hai aur doosra option hota hi ki koi bhi uska answer de sdakta hai.
Ab hota kya hai ki kisike bhi man me koi bhi question aaya to wah use quora par daal deta hai.Quora ke baare me ek bahut hi badi baat yah hai ki jo cheez aapko google par kahi bhi naa mile wah aapko quora par milne ki sambhaavna bahut jyaaada hoti hai.


Quora.com kaise bana

Quora asal me ek bahut badi company ki ekk service hai aur us company ka naam hai quora inc. Is company ki sthaapna 2009 me huyi thi.Aur company banne ke baad quora ko banane kaa kaam shuru kiya gaya. 
Acha kyaa apne kabhi yah dhyaan diya hai ki aaj ke samay ki kuch bahut hi badi compani8yon ko banane wale log apne career ki shuruaat kisi bahut hi badi company se kiye the jaise ki amazon, facebook, google etc.Shayad aapko pata bhi ho ki whatsap ko banane wale bhi pahle facebook me kaam kiya karte the aur baad me jab unhone whatsap ko banaya to whatsap ke had se jyaada lokpriya  ho jaane ke bad facebook ne use khareed liya.
Theek kuch aisa hi hua quora ke saath bhi. Quora.com ko banane wale Adam D'Angelo and Charlie Cheever dono log hi pahle facebook me kaam kiya kerte the aur fir inhone facebook ki naukari chodkar apni khud ki company banayi.
Quora company ki headoffice America ke california me hai.Quora inc. ke 2009 me ban jaane ke turant baad se hi quora projectpar kaam shuru ho gaya tha aur finally 2010 ke june me quora ko public use ke liye publish kar diya gaya.


Quora kaa itihas

2010 me quora ke launch hone ke turant baad se hi iske vikas me bahut tezi dekhi gayi. Iski main wajah yah thi iske pahle question-answer wale concept par koi bhi website nahi thi isliye logon ko yah kaafi pasand aayi.
Quora ke founders batate hain ki quora naam unhone Quorum word se liya tha jiska matlab hota hi ki logon ki sabha. Matlab ki yah website banane ka main uddesya hi yahi tha ki bahut saare logon ki ek online sabha banayi jaye jahan par log khud ek dusre ki samasyaaon kaa samadhasan kare.
Quora company ka kahna hai ki 2017 ke april tak quora par har mahine lagbhag 190 million unique visitors aane lage the.
Quora ke official report ke anusaar 2018 me quora par har mahine 300 million unique visitor aate hain.
Quora ki lokpriyata ko dekhte huye is website ko aur asaani se upyog kar paane ke liye 5 september 2012 ko android application bhi launch kar diya.

Kaise kaam karta hai Quora.com

  • Jaisa ki humne bataya ki quora ek question-answer type ki website hai jahan par koi bhi question puch sakta hi aur jise bhi us question ya topic ke baare me jankari ho wah uska answer bhi de sakta hi.
  • Asal me hota yah hai ki quora ek aisi jagah hai jahan har mahine lagbhag 300 million log aate hain iska matlab yah hua ki agar yahan par aap  kisi bhi topic se sambandhit question daalte hain to us topic ke experts dwara aapko bahut jald hi ek bahut hi acha answer de diya jaata hai.
  • Jis prakar koi bhi quora par kuch bhi puch sakta hai theek usi prakar koi bhi kisi bhi prashn ka uttar bhi de sakta hai.
  • Aap agar kabhi bhi kisi bhi question ka answer de to aapko kuch baaton ka bahut khaaskar dhyaan den hota hai nahi to quora ki content review team agar aisa paati hai aapne unke kisi bhi policy ka ulanghan kiya hai to wah aapke answer ko delete kar sakte hain.

Quora par milne wali suvidhayen 

  • Quora par aap kisi bhi area ya kisi bhi topic se realated question puch sakte hain.
  • Apko agar kisi bhi insan ke answers ache lagte hain to aap use follow bhi kar sakte hain.
  • Aap jabbhi koi prasn puchte hain to ek request answer ka option bhi milta hai jiski madad se jisse chhahe usse apne question ka answer paane ke liye request bhi kar sakte hain.
  • Agar aaap quora par logo ke sawalon ka jawab dena chaahte hain to aap bhi de sakte hain.
  • Aap jis bhi topic se related questions par answers diya karenge usi topic se related alag alag questions quora software aapko automatically dikhata rahega.
  • Apne agar kisi bhi question ka answer diya hai to aap apne har question par al;ag alag aur total views bhi dekh sakte hain matlab yah hai ki aap yah bhi jaan sakte hain ki aapke answers ko kul kitne logon ne padha hai.
  • Aap dusron ke questions ke answers par aur koi bhi aapke answers par apne vichaaron ko bhi comments ke maadhyam se vyakt bhi kar sakta hai.
  • Agar kisi bhi vyakti ko aapka answer bahut acha lagta hai aur kuch aisa mahsoos hota haiki is answer me kuch aisa hai jo ki har kisi ko jaroor padhna chaahiye to uske paas iske liye do alag alag options hote hain ek hota hai upvote karne ka aur doosra hhota hai share karne ka.
  • Share kaarne ka matlab to aap sabhi jante hi honge ki aap share option ke maadhyam se kisi bhi answer ko kisi bhi social platform par asaani se share kar sakte hain jaise ki facebook, whatsap, twitter etc.
  • Aur doosra option hota hai upvote karne ka iska matlab yah hota hai ki agar koi aapke answer ko upvote karta hai to aapki quora par reach badhegi aur quora ke algorithm yah lagega ki aapke answer me kuch abhut hi achi value hai aur yah jyaada se jyaada logon tak pahuchni chahiye . Aur aisa hone se quora apne aap hi adhik se adhik logon tak aapke answers ko pahuchaata hai jissse aapke views bhi badhte hain.
To yah thi internet par maujood ek bahut hi bade platform quora.com ke bare me jankari.
Agar yah aapko achi lagi to please hume comments me batayen.
Thank you.
 

7 comments:

  1. Hi Akash Mishra

    i like your post realy i have read first time Quora.com kya hai Thanks for sharing keep up the good work.

    Thanks for the tips.

    Quora

    ReplyDelete
    Replies
    1. Thank you apsnews,
      and yes I will surely keep doing the good work.

      Delete
  2. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  3. I Realy Like Your Post

    ReplyDelete